Friday, August 21, 2009

Zindgi Ka Mausam..............

Badi kathin hai jeewan ki dagar,
chalha hai hamein chalna hai magar !
raahon mein hai kaantein aur phool bhi ,
zindgi mein huyi humse kuch bhool bhi !

Chhota sa jiwan humein mila hai ,
humein isse sawarna hai ,
khatti-mitthi yaadon ke saath-2 ,
apne sapno ko bhi sajana hai !
badi kathin hai jiwan ki dagar ,
chalna hai chalna hai magar !!!!!!!

Raahi tu chalta ja tu chalata ja ,
raaste ke har tufaan se tu ladta ja !
chahat ki roshni mein saare andhere kho jayenge ,
phir ummend ke pal tere saathi ban jayenge !

Udaasi ka patjhar hai to,khushiyon ka sawan bhi aayega ,
aaunson ki barish hai to,hassi ka jharna bhi bahega !
badi kathin hai jiwan ki dagar,
chalna hai humein ,chalna hai magar!!!!!

Tu duniya ki bheer mein kahi kho mat jana ,
is sansaar ke chakrvyuh mein phass mat jana !
teri manzil kar rahi tera intzaar hai ,
tera aashiyaana to chand ke paar hai !

Yakeen rakh tu khud par,tu apni pehchaan bana hi lega ,
apni chahaton ke aasmaan ko paa hi lega !!!!!
badi kathin hai dagar ziwan ki ,
chalha hai humein, chalna hai magar!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!


Monday, March 16, 2009

Har waqt humare saath hai ,
hum sabme chhupa ek pyaara ehsaas hai,
isko pana itna aasaan nahi,
kyuki yeh hota bahut hi khaas hai,
isse hi bante saare bandhan aur rishtey ,
yahi chalata sara sansaar hai,
log kehte isko kudrat hai,
humne kaha ki yeh Pyaar hai....!!!!


BY: Latika Ogra

Monday, February 23, 2009

SAMAY....!!!!

Samay ke haare haar hai,
Samay ke jeete jeet,
Yeh zindagi ka sach hai,
Yahi hai jag ki reet!!!
Hazaar palo se sawarti duniya hai,
Do palo me bikharata jahaan hai,
Jisne is sach ko pehchan liya,
Wahi insaan banata mahaan hai !!!!
Dukh ke badal kaha nahi hote,
par sukh ka sagar pana bahaduri hai,
khushiyo ki chahat har kisi ko hoti hai,
Par unhe sabse batna ek samjhdari hai!!!!
Sadiyo se har subah ke baad,
Aati ek shaam hai,
Aane wala samay aur bhi payara hoga,
Yahi hota us shaam ka paigham hai!!!!
BY: Latika Ogra

Tuesday, January 13, 2009

Shabd......

Kaun kehta hai ki,shabd insaan ki zarurat hoti hai,
koi gaur kare ki nazro se bhi dil ki baatein hoti hai !!!!

kuch ehsaas yu bhi hote hai,
jinhe lafzon se samjhaya nahi ja sakta,
shabdo se hum sab kuch keh de par,
apke apne samjhe,yeh kaha nahi ja sakta !!!!

aankhon ki boli koi nahi janta,
el baar koshish karke to dekho,
ek gehri chhap reh jayegi,
ek baar kuch keh kar to dekho !!!!

By:
Latika