Tuesday, December 30, 2008

Nazron ki Baatein

munh se baatein to sabhi kehte hai ,
nazron se baatein kehkar to dekho ,
mann ki baat keh to har koi deta hai ,
kabhi bin bole kuch samjhkar to dekho !!!!

sabhi jante hai ki aankhen bolti hai ,
Phir bhi kabhi-2 itna shor kyu hai,
rehte hum aapno ke beech hai ,
phir bhi kuch log lagte koi aur kyun hai !!!!

aankhon ki apni alag boli hoti hai ,
humein sirf ise samjhne ki zarurat hai ,
bachapan mein hum ne khud ko jana nahi tha ,
apni baaton ko kis tarah kahe, isse the anjaan ,
phir bhi hamari aankhon se humein jo samjhi ,
Humari maa hi hai woh ek insaan!!!!

Boli ki thodi pehchaan Milne par bhi,
Aapni baaton ko kehna tha bada hi mushkil,
Phir bhi humari Nazron ne bataya sabko,
Ki kya hai hamara haal-e-dil!!!!

Nazron se baat karo to payaar phelega,
Sirf duri badhati hai takraar se,
kisiko bura kehkar kuch nahi hoga ,
Rishte to bante hai payaar se!!!!!!!!!

By: Latika Ogra

Monday, December 29, 2008

Jannat-e-Kashmir....

Mera ghar, mera desh, kitna payaraa mera bhesh,
kali bankerkhili hu main,naazon mein pali hu main !
Jannat ki vadiyon mein hai mera aashiyanaa,
pariyon ne use apnaa jahaan hai banaya !

jharane ke pani ki kal-kal,
jheel ki lehron ki jhal-jhal !
subah ki roshni ne jagaya hai sabko,
ouns ki bundon se milaya hai sabko !

dewalayon mein gunji shankh ki awaaz,
panchhiyon ne kiya subah ka aagaaz !
shikare par hai pholo kikhushbu,
mann karta ki uske sang jhoomlu !

hole se suraj ki kirne nikali ,
lagi roshni neele ambar mein khilne !
maa ne kaha neend ka daman chhod du,
mann bhi karta hai subah ko bhar lu !

hai karta yeh suraj karta sabko namaskar,
kehta hai aataa rahunga main baar-baar !
payaari,suhani thand hai chhayi huyi ,
ho jaise par!i koi jal mein nahayi huyi !

din to apna doston ke saath bitaya ,
chahat hai dekhne ki shaam ka saaya !
raat apna aanchal phelane lagi hai,
shaam ke payere palo ko khud mein samane lagi hai !

DAL ka roop bhi suhana lagne laga hai,
baagon mein bhi chandni ka rang dikhne laga hai !
aasmaan ka neela rang simtane laga hai,
sach mein yeh dharti sawarg ki chhaya hai!

iski hifazat humara farz hai ,
kyunki hum sab par iska karz hai !
raat ke is peher mein dil ne ki ek mannat ,
mujhe lauta do meri dharti -e-jannat !!!!!!!!

Latika Ogra

Welcome

Hello PPL/..............