Friday, August 21, 2009

Zindgi Ka Mausam..............

Badi kathin hai jeewan ki dagar,
chalha hai hamein chalna hai magar !
raahon mein hai kaantein aur phool bhi ,
zindgi mein huyi humse kuch bhool bhi !

Chhota sa jiwan humein mila hai ,
humein isse sawarna hai ,
khatti-mitthi yaadon ke saath-2 ,
apne sapno ko bhi sajana hai !
badi kathin hai jiwan ki dagar ,
chalna hai chalna hai magar !!!!!!!

Raahi tu chalta ja tu chalata ja ,
raaste ke har tufaan se tu ladta ja !
chahat ki roshni mein saare andhere kho jayenge ,
phir ummend ke pal tere saathi ban jayenge !

Udaasi ka patjhar hai to,khushiyon ka sawan bhi aayega ,
aaunson ki barish hai to,hassi ka jharna bhi bahega !
badi kathin hai jiwan ki dagar,
chalna hai humein ,chalna hai magar!!!!!

Tu duniya ki bheer mein kahi kho mat jana ,
is sansaar ke chakrvyuh mein phass mat jana !
teri manzil kar rahi tera intzaar hai ,
tera aashiyaana to chand ke paar hai !

Yakeen rakh tu khud par,tu apni pehchaan bana hi lega ,
apni chahaton ke aasmaan ko paa hi lega !!!!!
badi kathin hai dagar ziwan ki ,
chalha hai humein, chalna hai magar!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!