Thursday, June 3, 2010

MERI RAAHEIN!!!!

Zindagi ki raah me akele hi chali jaa rahi hu,
Duniya ki bheed me khud ko talash rahi hu,
Khawaahisheye to sabhi ki bahut hoti hai,
Main tamanna apni manzil ko pane ki kar rahi hu !!!!
Raah me dost to bahut milte hai,
Par saathi koi nahi milta,
Pal bhar to har koi saath rehta hai,
umar bhar koi saath nahi nibhata !!!!
Dil me khawahishyo ka samandar sa hai,
Lekin phir bhi mann me ek payaas si hai,
Mili to bahut si khushiya hai,
par phir bhi lagti kuch kami si hai !!!!
Chaahato ki naav aaj beech majhdhar me hai,
Akele hi isko mujhe paar lagana hai,
Nasihaton ki baarish to sab karte hai,
raahon me kai mushkile bhi mili hai,
un sabhi ko mujhe aasaan karna hai,
Aasmaan ko chhute to kai hai,
Mujhe aasmaan pe apna makaam banana hai!!!!


BY: Latika Ogra

Wednesday, February 17, 2010

baarish ke kaaran hariyali hoti hai,
oans ke kaaran baagh me khubsurati hoti hai,
chehre par khushi to hamesha rehti thi,
par kabhi muskaan ka kaaran tanhayi hoti hai



BY:
Latika Ogra

Sunday, January 17, 2010



Is jahaan ne hamesha kaha ki,
kabhi-2 lshabd ban jate hai teer aur talwaar,
to kyu nahi karte hum ek shuruwat ki,
shuru kare aankho ki boli se sabko samjhna mere yaar.....!!!!






BY:
LATIKA OGRA

Saturday, January 16, 2010

"Kuch shabd mere kuch khass apno ke liye......"


Hamesha tu mujhse baat karta rahe e-dost,
Teri baaton me ek nasha sa hai,
Teri dosti ka saath hamesha rahe,
Rab se yahi dua hai !!-!!

Jab har raaste par chhaya tha andhera,
Tab tune hi dosti ka diya jalaya,
Ek dard mujhse jud sa gaya tha,
Tune hi dosti ka marham lagaya !!-!!

Jane tere lafzo ka yeh kaisa asar hai,
Ki hamesha muskurane ko ji chahta hai,
Teri dosti se dil is qadar khush hai,
Ki khud pe itrane ko ji chahta hai !!-!!!!




BY:
Vitasta