Monday, December 29, 2008

Jannat-e-Kashmir....

Mera ghar, mera desh, kitna payaraa mera bhesh,
kali bankerkhili hu main,naazon mein pali hu main !
Jannat ki vadiyon mein hai mera aashiyanaa,
pariyon ne use apnaa jahaan hai banaya !

jharane ke pani ki kal-kal,
jheel ki lehron ki jhal-jhal !
subah ki roshni ne jagaya hai sabko,
ouns ki bundon se milaya hai sabko !

dewalayon mein gunji shankh ki awaaz,
panchhiyon ne kiya subah ka aagaaz !
shikare par hai pholo kikhushbu,
mann karta ki uske sang jhoomlu !

hole se suraj ki kirne nikali ,
lagi roshni neele ambar mein khilne !
maa ne kaha neend ka daman chhod du,
mann bhi karta hai subah ko bhar lu !

hai karta yeh suraj karta sabko namaskar,
kehta hai aataa rahunga main baar-baar !
payaari,suhani thand hai chhayi huyi ,
ho jaise par!i koi jal mein nahayi huyi !

din to apna doston ke saath bitaya ,
chahat hai dekhne ki shaam ka saaya !
raat apna aanchal phelane lagi hai,
shaam ke payere palo ko khud mein samane lagi hai !

DAL ka roop bhi suhana lagne laga hai,
baagon mein bhi chandni ka rang dikhne laga hai !
aasmaan ka neela rang simtane laga hai,
sach mein yeh dharti sawarg ki chhaya hai!

iski hifazat humara farz hai ,
kyunki hum sab par iska karz hai !
raat ke is peher mein dil ne ki ek mannat ,
mujhe lauta do meri dharti -e-jannat !!!!!!!!

Latika Ogra

3 comments:

  1. latika very gud !!
    achha likha hai

    ReplyDelete
  2. hi dere , nice work dear , i m honoured to b ur first follower , take kare ....

    ReplyDelete

Note: Only a member of this blog may post a comment.